khilte hain phool hajaro jab woh iss ada se muskurate hain
mahak jata hain jahan sara jab woh pass se gujar jate hain.
Mundate hi aankh woh kwaabo main karib nazar aate hain
Unki yaad main aksar hamari aankho main aansu chalak jate hain.
Aarzoo hain ke ho subah aur shaam tere hi daman main
tumhare bin yeh raat aur din kitane sune nazar aate hain
dikhti hain muze do tasvire meri hi parchayi main
bas hum to tum sang jindagi jeena chahte hain
Friday, July 6, 2007
Wednesday, April 4, 2007
Ahsaas
Dil ye deewana dhadakne laga
ek ahsaas maan main machalne laga
kab milnenge hum bas ek aarzoo hain
ab har lamah salo sa lamba lagne laga
dekha hain tumhe bas ek hi baar
phir bhi yeh rishta itana gahera kyun lagne laga
tumse ek roz milene ke baad hi
Yeh jahan chaand se bhehtar lagne laga
Dil ye deewana dhadakne laga .......

Friday, March 2, 2007
Chah
aane ki khabar se jiska chehra khil jata hain
jane ke jikra usnka mann dukh se bhar jata hain
jise raheti hain chinta meri subah sham
main bhi uski chintae duur karna chahta hun
aate hain aansu use meri har chot se
main bhi uske dard main hisedar banana chahta hun
jisne muze ungali pakad kar chalna sikhaya
aaj man mera bhi hath pakad uska sath dena chahta hain
jagi hain rate kitani mere liye usane
main bhi kuch rat usake sath rahena chahta hun
hai uske man main sagar mamta ka
main in lafzo se usko shat shat pranam karna chahta hun

Thursday, February 22, 2007
Yaad
duur hain tumse par pal pal tumhe yaad karte hain
sapno main tum aaoge yahi soch aanke mund intezar karte hain
aa raha hun tumse milne aaj main
yahi jaan yeh badal motiyo ki barasat karte hain
apke yaad se pahle pahuchunga main
phir aapki aanke kyun muzse sawaal karti hain
lagta ek gahra rishta hain yaad se mera
jab tum nahi ho to kival yeh hi to mere sath raheti hain

Aadambar
dikhta hun main jhotha apne aaine main
rachta hun main harwaqt swaang sabko chalane ke liye
Anjaan hum main apni man ki sundarta se
badalta hun main bahari aawaran dunia ko lubhane ke liye
baatoan main jhuth aur vyahvaar main dikhava hai mera
phir bhi raheta hun tyaar apni prashansa sunane ke liye
yeh prashansa meri nahi meri pratihibimb ki hai
Khudko to main bhul hi gaya hun apne adambar ke liye
dikhta hun main jhotha apne aaine main..

Sandesh

yuh aati hain taar se dil ki aawaaz
ke kaiy taar jud jate hai
unke labo se nikli aayate
hame phir kabe ke aur bhulati hai
unke sanso main basee garami
Iss jaade main sukun pahuchati hai
woh aapke lafzo ki narami
yaha patzad main phula ka ehasas karati hai
kisi payal ki minjul janank se
hamare chehre par ek raunk si aa jati hai
yuh aati hain taar se dil ki aawaaz.....

Voice
Samzata hum main khudko khuda,
main(ego) aur maiy(liquor) ke nashe main
rakhta nahi main khud ko kabhi,
iman ke kadghare main
Karta hun main hardam gunah
kabhi bekhodi main to kabhi majabori main
sochta hun main kabhi kabhi
mayne kya hai jindagi kai
Samzata hum main khudko khuda
main(ego) aur maiy(liquor) ke nashe main..

Adaa
chalate ho jo tum mithe teer, 
khichkar indradanush se bhoye
kabhi tirchi nazaro se waar
kabhi labo ko tabasum mein duboye
le liya hai mera chaino qarar
yun hi adhkhuli palko se soye soye
karo pyaar hame ab nazro se
hum toh kkhade hain aapki raho mein khoye khoye
kya hum bhi aate hai tumari yaado main
kya tumane bhi humari yaad main kai sapne piroye

andaaz
Hasi ko haan khamooshi ko na samaz jate hai...
unke isharo ko padne main bhool kar jate hai..
dekhate hain woh kuch asi aada se mujhko
hum apna dil thaam ke wahi reh jaate hain
aa ke ruk jaati hai kai baate labo per mere
hum kyu unki har baat ko ishq ki dastaan samjah jaate hain..
mehek jaate hain hum unke tasvur se
woh jab bhi mere khawabo ko yun hi chhoo jaate hain..

Subscribe to:
Posts (Atom)