Wednesday, February 2, 2011

Pitah

Pitah hokar Pitah ko jana hain
Unke ke kadmo par to jamana hain

Ji raha hun unke ansh ke vesh main
Yeh sabak kuch apno ko batana hain

Kai afsane hain tasvour main mere
Ab apne bĂȘte sang wahi dohrana hain

Hain yahi dastoor dunia ka mere dost
Yaha kabhi aana hain to kabhi jana hain

Wednesday, January 21, 2009

Antar Aawaaz

Jab main apne dil ke jharoke main dekhta hun

To kai jane anjane chahare nazar aa jate hain


Kya ek anjaana safar hain jindagi

jaha sabhi pahchane piche chale jate hain


Kyu Jharne se baheti hain jindagi

Yeh Maujo ke kadam phir piche kyu nahi jate hain

Kahte hain ek Paid ki tarah badti hain jindagi

Jisake fal pakane par tut hi jate hain


ab main apne dil ke jharoke main dekhta hun....

Friday, July 6, 2007

Tum

khilte hain phool hajaro jab woh iss ada se muskurate hain
mahak jata hain jahan sara jab woh pass se gujar jate hain.

Mundate hi aankh woh kwaabo main karib nazar aate hain
Unki yaad main aksar hamari aankho main aansu chalak jate hain.

Aarzoo hain ke ho subah aur shaam tere hi daman main
tumhare bin yeh raat aur din kitane sune nazar aate hain

dikhti hain muze do tasvire meri hi parchayi main
bas hum to tum sang jindagi jeena chahte hain

Wednesday, April 4, 2007

Ahsaas

Dil ye deewana dhadakne laga
ek ahsaas maan main machalne laga

kab milnenge hum bas ek aarzoo hain
ab har lamah salo sa lamba lagne laga

dekha hain tumhe bas ek hi baar
phir bhi yeh rishta itana gahera kyun lagne laga

tumse ek roz milene ke baad hi
Yeh jahan chaand se bhehtar lagne laga

Dil ye deewana dhadakne laga .......

Friday, March 2, 2007

Chah

aane ki khabar se jiska chehra khil jata hain
jane ke jikra usnka mann dukh se bhar jata hain

jise raheti hain chinta meri subah sham
main bhi uski chintae duur karna chahta hun

aate hain aansu use meri har chot se
main bhi uske dard main hisedar banana chahta hun

jisne muze ungali pakad kar chalna sikhaya
aaj man mera bhi hath pakad uska sath dena chahta hain

jagi hain rate kitani mere liye usane
main bhi kuch rat usake sath rahena chahta hun

hai uske man main sagar mamta ka
main in lafzo se usko shat shat pranam karna chahta hun

Thursday, February 22, 2007

Yaad

duur hain tumse par pal pal tumhe yaad karte hain
sapno main tum aaoge yahi soch aanke mund intezar karte hain

aa raha hun tumse milne aaj main
yahi jaan yeh badal motiyo ki barasat karte hain

apke yaad se pahle pahuchunga main
phir aapki aanke kyun muzse sawaal karti hain

lagta ek gahra rishta hain yaad se mera
jab tum nahi ho to kival yeh hi to mere sath raheti hain

Aadambar


dikhta hun main jhotha apne aaine main
rachta hun main harwaqt swaang sabko chalane ke liye

Anjaan hum main apni man ki sundarta se
badalta hun main bahari aawaran dunia ko lubhane ke liye

baatoan main jhuth aur vyahvaar main dikhava hai mera
phir bhi raheta hun tyaar apni prashansa sunane ke liye

yeh prashansa meri nahi meri pratihibimb ki hai
Khudko to main bhul hi gaya hun apne adambar ke liye

dikhta hun main jhotha apne aaine main..